Tuesday, 30 October 2012

Ay merey achay fankar!

Ret se butt na bana aye mere ache fankaar,
ek lamhe ko thehar, main tujhe pathar laa doon,
main tere samne ambaar laga doon lekin,
kaun se rang ka pathar tere kaam ayega,
surkh pathar jise dil kehati hai bedil duniya,
ya vo pathraai hui aankh ka neela pathar,
jis mein sadiyon ke tahayur ke pade hon dore

kya tujhe rooh ke pathar ki zaroorat hogi,
jis pe har baat bhi patthar ki tarah girti hai,
ik woh pathar hai jise kehte hain tahzeeb-e-safed,
us ke mar-mar mein siyaah Khoon jhalak jataa hai,
ik insaaf ka pathar bhi to hota hai magar….
haath mein teshaa-e-zar ho to woh haath aata hai

jitne mayaar hain is daur ke sab pathar hain,
sher bhi raqs bhi tasveer-o-ghina bhi pathar,
mera ilhaam tera zehn-e-rasa bhi pathar,
is zamane mein har fan ka nishaan pathar hai,
haath pathar hain tere meri zubaan pathar hai,
ret se butt na bana aye mere ache fankaar.........
-Ahmed Nadeem Qasmi.

No comments:

Post a Comment